Header Ads Widget

Ticker

6/recent/ticker-posts

Bharat ke svtantrata sangam me Gandhi ji ka yogdaan

J.L.Neharu ne kha tha __'gandhiji taje hava ke us jhonke ki tarah aaye jisne hamare liye khuli hava me sans lena sambhav banaya. Ve prakash ki us kiran ki tarah Aae jo andhar me peth gyi or jisne hamari aankhon ke samane se prde ko hta diya. Ve us bavandar ki tarah aaye jisane bahut kuch vishesh kr shrmikon ke dimag ko ulat pulat diya.'
  •  Unhone desh me British rajya ke khilaph aajadi ki ek lahar chalayi, or jo annt me British rajya ko le doobi or hamara Bharat aajad hua. Eske liye unhone chote bade bhut se asndolano ka netratv kiya. Jinme kuch nimn hi.....
  •  CHAMPARAN KISAN SATYAGRH:- Bihar ke Champaran me Gandhi ji ne April 1917 ko yh aandolan shuru kiya. Yh satyagraha tinktiya padhyati ke khilaph tha. 
  •  KEDA KISAN AANDOLAN :- Gujarat ke kheda jile me badhi hui lagan ki vasooli ke virudha  kisano ne Gandhi ji ke netratv me aandolan kiya. Jo saphal rha. 
  • AHAMDABAD MIL MAJDOOR AANDOLAN:- Ahamdabad ke mil mlikon or majadooron ke madhya pleg bonus ko lekar vivad tha.gandhi ji ke anashan pr betane ke baad tribunal ne shramikon ko 35% bonus dene ka phesla kiya or is tarah aandolan samapt hua. 
  •  ASAHAYOG AANDOLAN:-1 August 1920 ko yh aandolan shuru hua. 5 February 1922 ko chora hori kand hua kiske karan 11-12    February 1922 asahsyog aandolan sthsgit kr diya gya. 
  • SAVINAYA AVGYA ANDOLAN :- Gandhi ji namak kanoon ke khilaph namak banane ke liye apani etihasik dandi yatra( 12 march_  5 April 1930 ) ke ssath nagarik a avagya aandolan shuru hua. Savinaya avagya aandolan ka pratham charan (12 March 1930- 05 March 1931). Or dosara charan December 1931me shuru hua or 1933 me sthagit kr diya gya. 
  • BHARAT CHHODO ANDOLAN :-11 August 1942 ko aandolan shuru hua usse pahale 9 August 1942 ko Gandhi ji or anya netaon ko giraphtar kr liya gya. Gandhi ji ne esme 'karo ya maro' ka nara diya. Pr yh aandolan ahinsak na rh saka. 
Kooplend ke anusaar.... Gandhi ji ne Bharat ke etihas ka rukh badal diya, unhone vh kr dikhaya jo tilak bhi nhi kr sakethe rashtriya andolan ko krantikari banaya, svtantrata ke lakshya ki oor badhana sikhaya, sarkar ke upar sinvedhanik dabav dala, vad vivad or samjhoge ke dara nhi apitu shakti ke dvara vh shakti jo ahinsak thi. Unka yogdaan shahari jeevan vrg tk  na simat kr ganv ki aam janata tk pahuch gya or jagarati peda karane Lga. 

Post a Comment

0 Comments